Thursday 28 March 2013

Angoor ka faida

Angoor aik nehayat khush zaiqah phal hai jis ki buhat si aqsam hain, in mein surkh kale sabz aur begair beej key angoor ziadah maroof hain. Angoor lazeez hone key sath ghizayi fawaid se mala mal hain. In mein calcium, protein, phosphorus folad , vitamin C, A aur B6, glucose, potassium, magnesium sodium aur fiber paye jate hain.

1-Angoor ka istemaal quwat mudafyat mein izafah kar key mukhtalif bimaryon se bachata hai.

2- Is mein mojod vitamin A kamzor basarat ko quwat bakhshta hai.

3-Angoor mein mojood folad khoon ki kami ko poora karta hai. Khoon ki kami mein is ka istemaal intehayi mufeed sabit hota hai.

Qudrat ne grape ko yeh khoobi bakhshi hai keh is key istemaal se saaf khoon paida hota hai. Ise key istemaal se na tabiyat bojhal hoti hai aur na hi medey mein kisi qisam ki girani paida hoti hai. Is key andar ghizaiyat aur tawanayi key bhar poor khazane hain. Thore se pake huye angoor nashte mein aur khane key baad khaye jayein to gosht, aala tareen protein aur vitamin wali ghizaon ka mutbadil ho sakte hain.

No comments:

Post a Comment