Sunday 19 May 2013

Jaldi dahi jamany ka tareeka

Agar ap jaldi dahi jamana chahtay hain tu doodh ko halka garam kareyn us may ek chamach dahi dalyen or usay kisi bartan may rakh kar kisi garam jagah per rakhen. Dahi jaldi jum jaey ga. Ye tareeka thnaday mumalik or sardi kay mossam kay liye mufeed hay.

Piyaz ko jalidi talnaay ka tareeka

Piyaaz ko jaldi talnaay kay liye us may namak ya thori si cheeni daal deyn taaltay waqt. Piyaz jaldi brown ho jaey gi.

Hari chutni ka rang barkarar rakhnay ka tareeka

Haray dhaniye ya podeenay ki chatni banany kay baad agar us may thora sa lemo ka raas mila diya jaey or fridge may rakha jaey tu chatni kharab nahi hoti or rang bhi barkarar rehta hay.

Monday 13 May 2013

Nariyal ko ba asani shell say nikalnay ka tareeka

Nariyal kay sheel ko ba asani nikalnay kay liye nariyal kat kar usay ek raat kay liye fridge may rakh deyn shell nikal aey ga.

Dahi ka khata pan khatam karnay ka tareeka

Agar dahi khata ho tu nariyal kay choothay choothay slice kat kar nariyal may daal deyn. Khata pan kam ho jaey ga.

Churi ko kharab honay say bacahny ka tareeka

Khati cheezoon ko katnay kay baan jesa kay lemoo, narangi, anannaas, timatar wagera fooran churi dhoo leyn takay churi ko zank na lagay or wo kharab na ho.

Machli ka taste barhany ka tareeka

Machli talnay say pehlay agar us per sirka laga diya jaey tu us ka taste acha ho jata hay.

Bayngan kalay honay say bachany ka tareeka

Agar bayngan pakanay say pehlay kat liye hoon tu unhay kalay hony say bachanay kay liye pani may thora sa namak mila kar us may daal deyn.

Chapati naram karnay ka tareeka

Chapati ki dough banaty waqt agar us may thora sa doodh or oil mila lia jaey tu chapati naram or khasta banti hay.

Nakun ganday hony say bachanay ka tareeka

Agar apnay nakunoon(nails) ko ganday hony say bachany kay liye sabun ko nakunoon kay neechay waly hisay per rageryn or phir kaam karen. Nakun ganday nahi hoon gay.