Sunday, 31 March 2013

Kachay doodh ko mehfooz karnay ka tareeka

Kachay doodh ko sheeshay ki bottle may daal kar baraf kay tukroon may dabany say doodh mehfooz rehta hay.

Soup ki yakhni check karnay ka tareeka

Soup ki yakhni agar bilkul sahi bani hay tu es ki pehshan yeh hay kay jub wo thandi honay lagay gi tu halki halki jamna shuru ho jaey gi.

Palak, methi or sarsoon ki karwahat door karnay ka tareeka

Palak, methi or sarsson ka saagh dhonay kay baad adhay ghantay kay liye ek bary bartan may ek chaye ka chamach haldi daal kar bhigo deyn. Sari karwahat nikal jaey gi.

Daal pakaty waqt du batoon ka dehan

Daal ko hamesha neam garam pani say dhooeyn or steel ka chamach kabhi estimaal na karen lakri ka chamach karen.

Pori ya pakoray talnay ka tareeka

Pori ya pakoray jaub bhi talain halki anch per rakhen or steel ka chamach estimaal karen.

Farash per safedi kay dagh saaf karny ka tareeka

Kapray dhoonay ka soda, phitkari, namak or kapray dhoony ka sabun garam pani may mila kar es ko farash per daleyn, or sakth bursh say ragar ragar ker dhoo lain. Dagh saaf ho jaen gay.

Girah kholnay ka tareeka

Agar soony ki chain may girah per jaey tu es per talcum powder chirak ker esay khola ja sakta hay.

Saturday, 30 March 2013

Kalaf lagany ka tareeka

Kaproon may kalaf lagaty waqt agar pani may ek chaeye ka chamach safaid sirka daal diya jaey tu kapray kalaf lagnay kay bawajood naram rehty hain or istri bhi aram say ho jati hay.

Doodh ko mehfooz karny ka tareeka

Doodh ko ziyada arsy tak mehfooz rakhny kay liye usay fridge kay andar kay pichlay hisay may rakhna chaheye kunkay wahan cooling ziyada hoti hay. Es tarhan doodh tazah rehta hay or apna zaiqa barkarar rakhta hay. Doodh ko fridge may kachi gizai cheezon say door rakhen ya cheezain doodh ka zaiqa or kushbo kharab kar deti hain.

Piyaaz ko mehfooz karny ka tareeka

Jub tak ap ko kitchen may piyaaz ki zaroorat na pary enhay kitchen may na laeyn. Jali kay bary say thelay may daal kar kisi kushk or thandi jagah per alag kamray may rakhen.

Aam ko mehfooz karny ka tareeka

Paky howay aamoon ko mehfooz karny kay liye unhey plastic kay bag may rakh ker fridge may rakha ja sakta hay. Agar aam paky na hoon tu pehly unhay room temperature per rakh kar kuch din paka lena behter hota hay.

Double roti ko mehfooz karny ka tareeka

Double roti ko mehfooz rakhny kay liye esay fridge may rakha jata hay leykin fridge may rakhny say wo jald kharab ho jati hay or us ki nami khatam ho jati hay jis ki waja say usay phapond lag jati hay.
Double roti ko mehfooz rakhny kay liye betar hay kay usay aysay kamray may rakha jaey jis ka dargharart 20 C ya 68 F ho. Double roti ko suraj ki direct rays say bachaein. Hamesha thandi or kushk jagah per rakhen or estimaal say pehly halki si garam kar kay foraan estimaal kareyn.

Saib ko mehfooz karny ka tareeka

Saib ko mehfooz karny kay liye saib ko plastic bag may daal kar fridge ki sab say thandi jagah per rakhen.

Lemoo mehfooz karnay ka tareeka

Lemoo ko plastic bag may halka dheela band kar rakhen es tarhan wo jadi sookhay gay bhi nahi or zyada arsy tak estimaal bhi kiye ja saken gay.

Shehad ko mehfooz karny ka tareeka

Shehad ko hamesha sheshay kay jar may rakhen, kamray kay darja hararat per bhi shehad ko rakha ja sakta hay. Jar ko estimaal say pehly achi tarhan dhoo laeyn or kushk kar kay estimaal may lain. Fridge may rakhny ki waja say agar shehad jum gaya ho tu jar ko garam pani kay bowl may daal kar garam kar kay bhi estimaal kiya ja sakta hay.

Barish say kharab howy jootay ko sahi karnay ka tareeka

Agar joota barish ki waja say kharab ho jaey tu akhbar ko gool kar kay jootay kay andar thoos deyn or store wagera may rakh deyn ek du rooz kay baad kapray ya roi per glycerin laga ker jootay kay uper lagain, joota kharab or tang nahi ho ga.

Tang jootay ko sahi karny ka tareeka

Tang jootay ko khula karny kay liye purana falalain ka kapra lay kar pani may daal deyn. Phir achi tarhan nichoor laeyn or jootay may daba kar daal deyn, joota khul jaey ga.

Bag belt ya briefcase mazboot karny ka tareeka

Bag belt ya briefcase mazboot karny kay liye piyaaz ko du hisoon may kat leyn phir esay es cheezon per achi tarhan malain, kushk hony kay baad kapray say saaf kar leyn cheezain deryrpa or mazboot ho jaen gi.

Tawa ya karahi saaf karny ka tareeka

Lohy ka tawa ya karahi dhony kay baad us per tail lagaen zang nahi lagy ga. Enhy saaf karny kay liye thora sa soda bartn may nikalen es kay baad ek kapry ko halka sa geela kar kay us per soda laga ker karahi or tawa achi tarhan saaf karen. Hathoon say door rakhen. Taway or karahi ko ab achi tarhan kapray say saaf karen saaf or chamak dar ho jaen gay.

Sink ki nali saaf karny ka tareeka

Sink ki nali aksar band ho jati hay, es may du table spoon kapry dhoony ka soda daal kar uper say garm pani daal deyn. Nali bilkul saaf ho jaey gi.

Friday, 29 March 2013

Shaljam ka khara pan door karny ka tareeka

Shaljam ka khara pan door karny kay liye esay namak laga kar rakhdeyn baad may pakaeyn khara pan door ho jaey ga.

Piyaaz ki boo bartanoon say door karny ka tareeka

Churi, chaku ya kisi bartan may agar piyaaz ki boo bas jaey tu khatam karna nuskil ho jata hay. Boo door karny kay liye pani may chand qatray lemoo kay daal kar bartanoon ko es may bhigo deyn or thori deyr para rehny deyn. Badboo door ho jaey gi.

Gandum zyada arsy tak rakhny ka tareeka

Gandum zyada arsy tak rakhny kay liye esay kisi bori may ya teen kay daby may bhar kar es may thoray say methi kay khushk kiye howy paty pees kar mila deyn or es daby ka moon achi tarhan say band kar kay rakhen. Gandum zyada arsy tak mehfooz rahy gi.

Phasi howi anghooti nikalny ka tareeka

Agar ap ki ungli may anghooti phas gai ho tu es ko nikalny kay liye ap apna anghooti wala haath ek piyaly may barf ka pani lay kar es may dibo deyn. Pani ki thandak ki waga say ungli sukar jaey gi or anghooti phisal kar utar jaey gi.

Daantoon ka khata pan dor karny ka tareeka

Daant agar khaty ho jaen tu badam khaen. Es say daantoon ka khata pan door ho jaey ga.


Aloo ki mithaas khatam karny ka tareeka

Aloo kat kar en may khoob lehsun, namak or sirka laga kar rakh deyn. pon ghanty baad salan pakaen. Aloo mazaydar hoon gay.

peetal kay bartan or guldaan

Peetal kay bartan or guldaan wageerah maylay hp kar kaly par jaty hain. Jo boht bury maloom hoty hain. En kaly peetal kay bartanoon per sangtara kat kar malain, zara si deyr may bartan bilkul saaf ho jaen gay.

Reshmi kapray

Reshmi kapray agar chamak khony lagain tu en ko mazeed chamkany kay liye aysay pani may dhooain jis may aloo ubaly gaey hoon.

Thursday, 28 March 2013

Angoor ka faida

Angoor aik nehayat khush zaiqah phal hai jis ki buhat si aqsam hain, in mein surkh kale sabz aur begair beej key angoor ziadah maroof hain. Angoor lazeez hone key sath ghizayi fawaid se mala mal hain. In mein calcium, protein, phosphorus folad , vitamin C, A aur B6, glucose, potassium, magnesium sodium aur fiber paye jate hain.

1-Angoor ka istemaal quwat mudafyat mein izafah kar key mukhtalif bimaryon se bachata hai.

2- Is mein mojod vitamin A kamzor basarat ko quwat bakhshta hai.

3-Angoor mein mojood folad khoon ki kami ko poora karta hai. Khoon ki kami mein is ka istemaal intehayi mufeed sabit hota hai.

Qudrat ne grape ko yeh khoobi bakhshi hai keh is key istemaal se saaf khoon paida hota hai. Ise key istemaal se na tabiyat bojhal hoti hai aur na hi medey mein kisi qisam ki girani paida hoti hai. Is key andar ghizaiyat aur tawanayi key bhar poor khazane hain. Thore se pake huye angoor nashte mein aur khane key baad khaye jayein to gosht, aala tareen protein aur vitamin wali ghizaon ka mutbadil ho sakte hain.

Aloo kay mukhtalif ghareelo estimaal

Aalu dunya mein sab se ziyada khayi jane wali sabzi hai. bache burhe sabhi shoq se khate hain. Khas tor par chips ki surat mein to be had maqbul hain.
1-Chips katne ke baad in ko namak aur sirkah mile pani mein dubo dein. Jab talne ho to pani nichor kar tal lein. Chips do bar talne se ziadah khastah aur karare bante hain.
2-Baaz awqat salan mein aalo bilkul gal jate hain aur bikharne lagte hain. Aalo cheel kar kaat kar namak laga kar das minute baad daalain woh ghulein gey nahi.
3-Jis pani mein aloo boil kiye jate hon, is pani se chandi ke bartan dhoyain to saaf ho jate hain.

Piyaaz ki sunahri rangat karnay ka tareeka

Piyaaz ko khubsurat sunahri rungat mein talne ka aik aazmudah totka yeh hay kay piaz ko cheel aur kaat kar 15 minute ke liye thore se doodh mein bhigo dein. Phir chan kar oil mein fry karein. Buhat khubsurat sunahra brown color hoga.

Chulhay ko chamak dar banany ka tareeka

Kitchen mein gas ka chulha saaf suthra na ho to buhat nagawar lagta hai hafte mein aik bar chulhe ki safayi maamul bana lein. Ise sirke ke sath saaf karein. Tamam daag dhaby aur chiknayi bil kul saaf ho jaye gi aur chulha chamakny lage ga.

Mataron ki rungat barkaraar rakhny ka tareeka

Mataron ko ubaalne ke baad foran thanda pani agar in par daal dia jaye to in ki sabz rungut buhat khush numa rehti hai.

Gosht jald galany ka tareeka

Gosht jald galany ke liye mandarjah zel tarkibon mein se koi aik tarkeeb istemaal karein.

1-Pakte huye gosht mein chaalyah ke do tukre kat ke daal dijye. Aik kg gosht ke liye aik chaalyah kafi hogi.
2-Jis bartan mein gosht pak raha ho is ke dhakan ya plate ke piche thora sa chuna( jo pan mein khaya jata hai) lagadein.
3- pakte huye gosht mein aik chutki shaker daal dijye, ya aik chutki khane ka soda daal dijye.
4-Kharbuze ka chilka ya papite ki aik phank daal dene se bhi gosht jaldi gal jata hai.

Piyaaz ki Jhal se bachne ka tareeka

Aksar piaz kat-te waqt aankhon se pani jari ho jata hai. kiun keh piaz mein aik khas qisam ki chaal payi jati hai is se bachne ki tarkeeb yah hai keh piaaz ke do tukre kar lein lekin pehle is ke chilke utarna nah bhulein phir piaz ke tukron ko thori der pani mein bhigo dein. Is ke baad is ko chahe jitni bareek katain aankhon se pani jari nahi hoga.

Chane galany ka tareeka

Pehle kache chane pani mein bhigo dein jab chane bhig kar phool jayain to pakane se aadha ghanta pehle khane ka soda daal kar rakh dein phir ½ hour baad pani se soda dho dalain. Is ke baad pakayain khoob gal jayain gey.

Sheesha chamakdar karny ka tareeka

Khirkiyon ke shishe ho ya furniture par lage huye, saaf shafaf ache lagte hain. Shishe par aam kapre dhone wala nil pani mein ghol kar lagayain aur phir khushk kapre dhone wala nil ki yeh pesht khushk ho jaye to saaf aur narm kapre se ponch lein aur kapre ko hi ragarein. Shisha chamakdar aur shafaf ho jaye ga.

Moun say muli ki bu khatam karny ka tareeka

Mulyan bhi salad ka lazmi juzu hain. Kachi khayain ya paka kar donon tarah mufeed hoti hain magar in ke sath yeh qabahat hai keh khane ke baad munh se bu ke elawah buhat nagawar qisam ki dekarein aati rehti hain muli maday mein mojud har cheez ko hazam karne mein madad deti hai magar khood hazam nahi hoti ya phir buhat der mein hazam hoti hai is liye muli khane ke baad thora sa gur kha lia jaye is se muli hazam ho jati hai aur dekarein nahi aati ya phir matar ke chand dane chibayain to bhi dekarein nahi aayain gi.

Choonti bhagany ka tareeka

Heeng ko pees kar choonti ke surakh mein dalny se yeh bhag jati hai.

Sunday, 24 March 2013

Mom bati zyada din tak chalany ka tareeka

Mom bati ko zyada din tak chalany kay liye, mom bati ko plastic kay bag may rakhen or estimaal karnay say pehly 24 ghanty kay liye freezer may rakh deyn.

Microwave saaf karny ka tareeka

Ek cup pani bhar kay microwave may high temperature per rakh deyn. Steam tamam jamy howy khany ko nram kar dey gi or ap asani say microwave saaf kar saky gay.

Saturday, 23 March 2013

Achaar ko kharab hony say bachany ka tareeka

Achaar ki barni say achaar nikalny kay liye steel kay chamach kay bajaey lakri kay chamach estimaal karen. Achaar kharab nahe ho ga.
 

Gehry rang kay kapry dhoony ka tareeka

Pehli baar gehry rang kay kapry dhooty waqt pani may namak mila leyn, es say kaproon ka rang paka hota hay. Gehry rang kay kapray jo boht bar dhuly hoon un may chamak lany kay liye bhi ye tareeka theek hay.

Kaproon ko bay rang hony say bachany ka tareeka

Kaproon ko bay rang hony say bachany kay liye unhey ulta kar kay dhooain or sukhaen.

Paan ka dagh utarny ka tareeka

Paan ka dagh utarny kay liye daagh wala hisa doodh may dibo deyn phir mal kar dhoo leyn. Dagh chala jaey ga.

Chewing gum hatany ka tareeka

Agar farsh per chewing gum chipak jaey tu wahan barf rakh deyn. Pandhra(15) minutes baad churi ki madad say utar leyn.

Zip sahi karny ka tareeka

Ap kay purse, kameez ya trouser wagera ki agar zip phansti ho tu es per moom ragr deyn. Zip bilkul theek ho jaey gi.

Mehandi ka rang gehra karny ka tareeka

Hathoon may lagi mehnadi ka rang gehra karny kay liye hathoon say mehandi utarny kay baad us par sarsoon ka tail lagain. Thori deyr may mehnadi ka rang gehra ho jaey ga.

Naey fry pan kay estimaal say pehly

Naey fry pan kay estimaal say pehly es may pani sirka mila kar ubal lain, fry pan may koi bhi cheez chipky gi nahe or fry pan bhi jald porana nahe ho ga.

Lemoo ka raas jamaen

Lemoo mehfoz rakhny kay liye lemoo ka raas nikal kar unhey barf ki tray may jama lain. Phir lemoo kay raas kay cubes kisi lefafy may daal kar fridge may rakh deyn or saal bher lemoo estimaal karen.