Friday, 26 April 2013

Handi ko jalnay say bachany ka tareeka

Agar ap kisi handi ya bartan may khana paka rahy han or ap esay jalnay say bachana chahtay hain tu us key neechay tawa rakh deyn.

Friday, 19 April 2013

Tail ko kisi bottle ya jar may dalnay ka tareeka

Agar funnel mojood na ho tu asani say aluminum foil ko roll ker kay tail ko kisi jar ya bottle may dala ja sakya hay.

Chocolate kay curls banany ka tareeka

Chocolate kay curls banany kay liye chori taraf say chocolate pakren or aloo cheelnay waly ki madad say curl banaeyn. En curls ko ap cake or desserts per dalnay kay liye estimaal karen.

Airtight bartan ya jars mehfooz karnay ka tareeka

Aksar airtight bartan ya jars ko agar khali rakha jaey tu kuch din baad un may say badboo anay lagti hay. Jars ko khali rakhnay say pehlay un may thora sa namak daal deyn tu badboo peyda nahi ho gi.

Jalay howay chawaloon ki badboo khatam karnay ka tareeka

Agar chawal neechay say jal jaen tu us ki badboo poray chawaloon may a jati hay usay door karnay kay liye ek double roti ka tukra 5-10 minutes kay liye chawaloon pe rakh deyn, badboo khatam ho jaey gi. Chawaloon ko jaly howy chawaloon may mix na karen.

Makhan kaddu kash karnay ka tareeka

Agar ap ko kisi dish may ya garnish karnay kay liye makhan kaddu kash karna ho tu pehlay usay freezer may rakh deyn or phir kaddu kash karen asani say hu jaey ga.

Anaar kay daaney nikalnay ka tareeka

Anaar kay daaney hath say nikalnay say boht gandagi hoti hay es kay liye asan tareeka yeh hay kay anaar ko adha ker leyn or phir kisi baray piyalay ko leyn or anaar ko us kay uper pakar ker lakri kay chamach ki madad say us per halkay halkay maren. Anaar key danay asani say nikal ayen gay.

Thursday, 18 April 2013

Double roti kay kinaray katnay ka tareeka



Double roti kay kinaray kitchen scissors ki madad say asani say katay ja saktay hain. Kinaray safai say kat jaen gay or time bhi nahi lagay ga.

Cheese garnish karnay ka tareeka



Cheese kisi salad ya dish per garnish karni ho tu usay aloo cheelnay waly peeler say katain ye boht khobsorat lagti hain.

Tali howi piyaz mehfooz karnay ka tareeka

Piyaz ko tal ker fridge may rakh deyn. Salan banaty waqt ye estimaal ki ja sakti han.

Naranghi kay chilkay kay faiday

Naranghi kay chilkoon ko dhoop may rakh ker sukhaen or phir grinder may bareek powder ki tarhan pees leyn. Ye powder face mask banaty waqt ya cake banaty waqt kam a sakta hay.

Cottage cheese ko tazah rakhnay ka tareeka





Cottage cheese ko tazah rakhnay kay liye usay pani say bhary piyalay may daal ker fridge may rakhen or rozana pani tabdeel karen.

Sandwiches ko naram rakhnay ka tareeka

Sandwiches ko halkay geelay kapray may lapeytain phir aluminum foil uper say lapeyt ker usay fridge may rakh deyn. Sandwiches hameysha naram or tazah rahen gay.

Monday, 15 April 2013

Taazah phaloon kay juice kay faiday

Tazzah phaloon kay juices gizayat say bherpoor hoty hain. Un may jisam kay liye zaroori tamam enzymes hoty hain, hazmay may madad dety hain or hamary phephray, jigar, uterus or nizame hazam ko behter banaty hain.

Surkh shimla mirch kay faiday

Surkh shimla mirch paki howi or tayar shimla mirch hoti hay. Surkh shimla mirch may hari shimla mirch kay muqably may 11 times ziyada vitamin A or half times ziyada vitamin C hoty hain. Ye mukhtalif cancer or ankhoon ki bemariyoon say bachati hay.