Mughi ko roast karnay say pehlay agar us per lemoo ka ras laga diya jaey or phir namak lagaya jaey tu murghi juicy banti hay or us ki skin crispy ho jati hay.
Foil ko estimaal kartay waqt us ko andar ki taraf say thora geela kar leyn tkay wo asani say pan kay saath chipak jaey. Pani goondh ka kam karay ga or asani say chipaknay may madad dey ga.
Tazah bani howi cookies ki narmi or tazgi barkarar rakhnay kay liye ek double roti ka tukra jis dabay may cookies rakhi hgoon daal deyn. Double roti ki nami cookies ko tazah or naram rakhy gi or jub double roti sookh jaey tu doosra tukra daal deyn.
Sabziyoon ko katnay say pehlay cheel lain takay us kay water soluble vitamins barkarar rahen. Chika jitna bareek utar saktay hoon utaren takay vitamins or minerals zaya na hoon.
Kisi bhi saalan ko garha karnay kay liye agar aata estimaal karna ho tu pehlay aaty ko pani may mila kar acha sa paste bana leyn phir saalan may milaen. Es tarhan saalan may guthliyan nahi banay gi.
Agar ghalti say anda zameen per gir jaey tu us per namak dall deyn or thori deyr kay liye wesa hi chor deyn, phit asani say paper towel say saaf ker leyn.