Friday, 26 April 2013

Handi ko jalnay say bachany ka tareeka

Agar ap kisi handi ya bartan may khana paka rahy han or ap esay jalnay say bachana chahtay hain tu us key neechay tawa rakh deyn.

Friday, 19 April 2013

Tail ko kisi bottle ya jar may dalnay ka tareeka

Agar funnel mojood na ho tu asani say aluminum foil ko roll ker kay tail ko kisi jar ya bottle may dala ja sakya hay.

Chocolate kay curls banany ka tareeka

Chocolate kay curls banany kay liye chori taraf say chocolate pakren or aloo cheelnay waly ki madad say curl banaeyn. En curls ko ap cake or desserts per dalnay kay liye estimaal karen.

Airtight bartan ya jars mehfooz karnay ka tareeka

Aksar airtight bartan ya jars ko agar khali rakha jaey tu kuch din baad un may say badboo anay lagti hay. Jars ko khali rakhnay say pehlay un may thora sa namak daal deyn tu badboo peyda nahi ho gi.

Jalay howay chawaloon ki badboo khatam karnay ka tareeka

Agar chawal neechay say jal jaen tu us ki badboo poray chawaloon may a jati hay usay door karnay kay liye ek double roti ka tukra 5-10 minutes kay liye chawaloon pe rakh deyn, badboo khatam ho jaey gi. Chawaloon ko jaly howy chawaloon may mix na karen.

Makhan kaddu kash karnay ka tareeka

Agar ap ko kisi dish may ya garnish karnay kay liye makhan kaddu kash karna ho tu pehlay usay freezer may rakh deyn or phir kaddu kash karen asani say hu jaey ga.

Anaar kay daaney nikalnay ka tareeka

Anaar kay daaney hath say nikalnay say boht gandagi hoti hay es kay liye asan tareeka yeh hay kay anaar ko adha ker leyn or phir kisi baray piyalay ko leyn or anaar ko us kay uper pakar ker lakri kay chamach ki madad say us per halkay halkay maren. Anaar key danay asani say nikal ayen gay.

Thursday, 18 April 2013

Double roti kay kinaray katnay ka tareeka



Double roti kay kinaray kitchen scissors ki madad say asani say katay ja saktay hain. Kinaray safai say kat jaen gay or time bhi nahi lagay ga.

Cheese garnish karnay ka tareeka



Cheese kisi salad ya dish per garnish karni ho tu usay aloo cheelnay waly peeler say katain ye boht khobsorat lagti hain.

Tali howi piyaz mehfooz karnay ka tareeka

Piyaz ko tal ker fridge may rakh deyn. Salan banaty waqt ye estimaal ki ja sakti han.

Naranghi kay chilkay kay faiday

Naranghi kay chilkoon ko dhoop may rakh ker sukhaen or phir grinder may bareek powder ki tarhan pees leyn. Ye powder face mask banaty waqt ya cake banaty waqt kam a sakta hay.

Cottage cheese ko tazah rakhnay ka tareeka





Cottage cheese ko tazah rakhnay kay liye usay pani say bhary piyalay may daal ker fridge may rakhen or rozana pani tabdeel karen.

Sandwiches ko naram rakhnay ka tareeka

Sandwiches ko halkay geelay kapray may lapeytain phir aluminum foil uper say lapeyt ker usay fridge may rakh deyn. Sandwiches hameysha naram or tazah rahen gay.

Monday, 15 April 2013

Taazah phaloon kay juice kay faiday

Tazzah phaloon kay juices gizayat say bherpoor hoty hain. Un may jisam kay liye zaroori tamam enzymes hoty hain, hazmay may madad dety hain or hamary phephray, jigar, uterus or nizame hazam ko behter banaty hain.

Surkh shimla mirch kay faiday

Surkh shimla mirch paki howi or tayar shimla mirch hoti hay. Surkh shimla mirch may hari shimla mirch kay muqably may 11 times ziyada vitamin A or half times ziyada vitamin C hoty hain. Ye mukhtalif cancer or ankhoon ki bemariyoon say bachati hay.

Tarbooz kay faiday

Tarbooz garmi may estimaal hony wala behtreen phal hay. Metha, raseela or gulabi tarbooz cancer say lernay may madad deta hay or vitamins say bherpoor hota hay. Or es may zero fats hoty hain.


Dahi kay faiday

Dahi immunity ko bathata hay, zakham theek hony may madad detahay or calcium absorb karnay ki kasiyat ko 30-40% barhata hay.

Machli kay faiday

Tali howi machli khanay say dil ki bemariyoon ka khatra kam hota hay or heart attack kay baad bachnay kay mawaqay barh jaty hain.

Gaajar kay juice kay fawaid

Gaajar ka tazah juice rozanah peenay say jisam ko tawanai or taaqat milti hay or jisam ki garmi khatam ho jati hay. Her kisam kay dabaoo or preshani say rahat milti hay or ye bemari kay baad jisam may nai quwat bhi peda karta hay.

Blueberries kay faiday

Blueberries vitamin C, vitamin K, manganese or fiber hasil karnay ka behtreen zarya hain.

Papeetay kay faiday

 Papeetay ko phal kay toor per khanay may or dawa kay toor per estimaal kia ja sakta hay. Ye qudrati toor per hazmay may madad deta hay. Papeetay ko jaly howy, katy howy per lagaya jata hay. Kharish wali jagah per elaaj kay liye bhi estimaal kiya jata hay.

Dry fruits kay faiday

Jo log kam azkam ek ounce her hafty kisi bhi kisam kay dry fruits khaty hain un kay pitay may pathri hony ka khatrah 25% kam ho jata hay.
 

Khobani kay faiday

Khobani kay boht say faiday hain, es may fiber, vitamin A,C or iron hota hay. Dried form ya sokhi hoi halat may khobani ko khanay say sub say ziyada gizayat hasil hoti hay.

Daal jaldi galany ka tareeka

Agar daal ko pakany say pehlay us per tail laga diya jaey tu us kay protiens naram per jaty hain or daal asani say gal jati hay.

Sabziyan katnay ka tareeka

Sabziyan hamesha bary tukroon may katain ta kay es ki gizayat barkarar rahy. Sabziyan bareek katnay say hawa lagnay per pani key sath sath un ki tamam gizayat bhi khatam ho jati hay.

Piyaz kay faiday

Piyaz ek boht achi antioxidant hay, es may anti-allergy(Khujli say bachao), antiviral(virus say bachao) or antihistamine ki khasusiyat hoti han.

Suraj mukhi kay tail kay faiday

Suraj mukhi ka tail saans ki bemari or bari anth kay cancer say bachata hay.

Rosemary(Akleel Kohistani) kay faiday

Rosemary ya Akleel Kohistani songhnay say chusti or hoshyari barhti hay or hafza teez hota hay.

Canola tail kay faiday

Canola tail khana pakany kay liye sub say ziyada sehat afza tail mana jata hay. Ye dil key marz ka khatra bhi kam karta hay.

Friday, 12 April 2013

Shehad agar jamnay lagay tu usay theek karnay ka tareeka

Shehad agar jamnay lagay tu us ki bottle ko garam pani say bharay bartan may daal deyn or adhay ghantay tak rehnay deyn phir bahar nikal ker achi tarhan chamach chalain.

Hari chutni mehfooz karnay ka tareeka

Hari chutni ziyada mikdaar may bana ker freezer may baraf jamany wali tray may daal ker jamaya ja sakta hay or zaroorat pernay per jitni zaroorat ho nikal ker estimaal ker leyn. Agar banany kay fooran baad chutni ko freeze ker diya jaey tu us ka rang or zaiqa barkarar rehta hay.


Pasta pakany ka tareeka

Patay ko packet per diye gaey time say ek minute kam pakaen or phir esay pan may daal ker sauce kay sath mazeed pakaen. Es tarahan karnay say pastay ka zaiqa barhta hay.

Salad kay paty ko mehfooz karnay ka tareeka

Salad kay paty ko dhoey baghair fridge may mehfooz karna behter hay. Estimaal say pehlay dhoo leyn.

Adrak, lehsun or mirchoon key paste ko tazah rakhnay ka tareeka

Adrak, lehsun or mirchoon key paste ko ziyada dino tak tazah rakhnay kay liye un may peestay waqt namak kay sath ek khanay ka chamcha garam tail daal deyn. Es tarhan paste ziyada din tak tazah bhi rahy ga or jald kharab bhi nahi ho ga.

Khana mehfooz karnay ka tareeka

Gosht or machli say bani cheezon ko freezer may alag alag daboon may daal ker mehfooz karen or ek haftay kay andar estimaal ker leyn.

Coffee mehfooz karnay ka tareeka

Coffee ko mehfooz karnay kay liye esay refrigerator may rakhen. Coffee tazah rahy gi or jamy gi nahi.

Aalo ko chilkay kay sath pakany ka tareeka

Agar aalo ko chilkay kay sath pakana ho tu pani may thora sa sirka daal deyn takay us ka chilka phatay nahi.

Sakht chocolate thek karnay ka tareeka

Kabhi kabhi chocolate melt kartey waqt wo sakht ho jati hay usay theek karnay kay liye us may halkay halkay tail shamil karen or chamach chalain, chocolate bilkul thek ho jaey gi.

Pasta ubalnay ka tareeka

Pasta ubalnay say pehlay agar bartan per makhan laga liya jaey tu pani ubal ker neechay nahi giray ga na hi choolha ganda ho ga.

Desert may phal dalnay ka tareeka

Desert may aksar phal us ki teh may beyth jaty han. Agar phaloon ko chahey wo fresh ho ya dry halka sa maida laga liya jaey tu wo teh may bethtay nahi.

Murghi roast karnay ka tareeka

Mughi ko roast karnay say pehlay agar us per lemoo ka ras laga diya jaey or phir namak lagaya jaey tu murghi juicy banti hay or us ki skin crispy ho jati hay.

Thursday, 11 April 2013

Foil kay estimaal ka tareeka

Foil ko estimaal kartay waqt us ko andar ki taraf say thora geela kar leyn tkay wo asani say pan kay saath chipak jaey. Pani goondh ka kam karay ga or asani say chipaknay may madad dey ga.


Cookies tazah rakhnay ka tareeka

Tazah bani howi cookies ki narmi or tazgi barkarar rakhnay kay liye ek double roti ka tukra jis dabay may cookies rakhi hgoon daal deyn. Double roti ki nami cookies ko tazah or naram rakhy gi or jub double roti sookh jaey tu doosra tukra daal deyn.

Sabziyan cheelnay ka tareeka

Sabziyoon ko katnay say pehlay cheel lain takay us kay water soluble vitamins barkarar rahen. Chika jitna bareek utar saktay hoon utaren takay vitamins or minerals zaya na hoon.

Ublay howay pani say gravi banany ka tareeka

Jis pani may sabziyan ubalain usay phaykay nahi balkay us pani ko gravi banany kay liye estimaal karen.

Phool gobhi ka rang barkarar rakhnay ka tareeka

Pkanay kay dooran phool gobhi ka rang barkarar rakhnay kay liye pani may thora sa doodh daal denay say goobhi ka rang karab nahi hota.

Sabziyan theek waqt per katain

Sabziyan pehlay say kaat ker na rakhen jub un ki zaroorat ho tub katain. Pehlay say katnay say un ka rang or gizayat khatam ho jati hay.

Shakar qandi cheelnay ka tareeka

Shakar qandi ka chilka asani say utarnay kay liye unhay ubalnay kay baad fooran thanday pani may daal deyn.

Omelette banany ka tareeka

Omelette bara or naram banany kay liye ek anday may thora sa aata daal deyn. Anday ki shakal bhi barkarar rahy gi.


Anday ko phetnay say pehlay

Anday ko phetnay say pehlay piyalay ko dhoo lenay say anda piyalay may chipakta nahi.